{tab title=”English”}
Yeh Tera Ghar Yeh Mera Ghar, Kisi Ko Dekhna Ho Gar
Toh Pehle Aake Maang Le, Meri Najar Teri Najar
Yeh Tera Ghar Yeh Mera Ghar, Kisi Ko Dekhna Ho Gar
Toh Pehle Aake Maang Le, Meri Najar Teri Najar
Yeh Tera Ghar Yeh Mera Ghar, Yeh Ghar Bahut Hasin Hai
Yeh Ghar Bahut Hasin Hai, Yeh Ghar Bahut Hasin Hai
Na Baadalo Ke Chhaanv Me, Na Chandani Ke Gaanv Me
Na Phul Jaise Raaste Bane Hain Iske Vaaste
Magar Yeh Ghar Ajib Hai, Jamin Ke Karib Hai
Yeh Int Pattharo Kaa Ghar, Hamari Hasrato Kaa Ghar
Yeh Tera Ghar Yeh Mera Ghar, Yeh Ghar Bahut Hasin Hai
Yeh Ghar Bahut Hasin Hai, Yeh Ghar Bahut Hasin Hai
Jo Chandani Nahi Toh Kya, Yeh Roshani Hai Pyaar Ki
Dilo Ke Phul Khil Gaye, Toh Fikr Kya Bahaar Ki
Hamare Ghar Na Aayegi, Kabhi Khushi Udhar Ki
Hamari Raahato Kaa Ghar, Hamari Chahto Kaa Ghar
Yeh Tera Ghar Yeh Mera Ghar, Yeh Ghar Bahut Hasin Hai
Yeh Ghar Bahut Hasin Hai, Yeh Ghar Bahut Hasin Hai
Yaha Mahak Wafaao Ki, Mohabbato Kaa Rang Hai
Yeh Ghar Tumhara Khwaab Hai, Yeh Ghar Meri Umang Hai
Na Aarju Pe Kaid Hai, Na Hausle Pe Jung Hai
Hamare Hauslo Kaa Ghar, Hamaari Himmato Kaa Ghar
Yeh Tera Ghar Yeh Mera Ghar, Kisi Ko Dekhna Ho Gar
Toh Pehle Aake Maang Le, Meri Najar Teri Najar
Yeh Tera Ghar Yeh Mera Ghar, Yeh Ghar Bahut Hasin Hai
Yeh Ghar Bahut Hasin Hai, Yeh Ghar Bahut Hasin Hai
{tab title=”Hindi” open=”true”}
ये तेरा घर ये मेरा घर किसी को देखना हो गर
तो पहले आ के माँग ले, मेरी नज़र तेरी नज़र
ये तेरा घर ये मेरा घर
ये घर बहुत हसीन है …
न बादलों की छाँव में, न चाँदनी की गाँव में
न फूल जैसे रास्ते बने हैं इसके वास्ते
मगर ये घर अजीब है, ज़मीन के क़रीब है
ये ईंट पत्थरों का घर, हमारी हसरतों का घर
ये तेरा घर ये मेरा घर …
जो चाँदनी नहीं तो क्या, ये रोशनी है प्यार की
दिलों के फूल खिल गये, तो फ़िक़्र क्या बहार की
हमारे घर न आयेगी, कभी खुशी उधार की
हमारी राहतों का घर, हमारी चाहतों का घर
ये तेरा घर ये मेरा घर …
{/tabs}